Sunday, 4 June 2017

tera intezar romantic

Tera Intezaar Mujhe Har Pal Rehta Hai,
Har Lamha Mujhe Tera Ehsaas Rehta Hai,
Tujh Bin Dhadkane Rukk Si Jaati Hai,
Ki Tu Mere Dil Me Meri Dhadkan Banke Rehta Hai.

romantic shayari sher

Chupake se aakar is dil mein utar jaate ho,
Saanson mein meee khushabu ban ke bikhar jate ho,
kuchh yoon chala hai tere ishk ka jaadu,
Sote-jaagate tum hi tum nazar aate ho.

funny shayri1234

Nakhre aap ke toba-toba,
gajab aapka style hai,
message to aap kabhi karte nahi,
bas halla macha rakha hai ki..
hamare pass bhi mobile hai!!

dosti se shayari

Dosti Kis Se Na Thi Kis Se Mujhe Pyar Na Tha,
Jab Bure Waqt Pe Dekha Toh Koi Yaar Na Tha.
दोस्ती किस से न थी किस से मुझे प्यार न था,
जब बुरे वक़्त पे देखा तो कोई यार न था।

acchi dosti

Dosti Buri Ho Ya Achhi..!!
Par Honi ChaHiye Sachhi..!!
Ab to raha hi nahi yaqeen kuch pyaar me,
Ae dost, Jab se tuj sa koi paa liya he!!

mehfil shayari123 dost

Mehfil mein kuch to sunana padta hai,
Gum chupakar muskurana padta hai,
kabhi ham bhi dost the aapke,
Aaj kal aapko yad dilana padta hai.

palke love pyar

Palkon Pe Larajte Ashqon Mein,
Tasveer Jhalakti Hai Teri,
Deedar Ki Pyaasi Aankhon Ko,
Ab Pyaas Nahi Aur Pyaas Bhi Hai.

love shayari213

Pyaar Se Chahe Armaan Mang Lo,
Roothkar Chahe Muskaan Mang Lo,
Tamanna Yeh Hai Ki Na Dena Kabhi Dhokha,
Fir Hanskar Chahe Meri Jaan Mang Lo..


pyar shayari

Tujhe chaha bhi to ijahaar na kar sake,
Kat gai umar kisi se pyaar na kar sake,
Tune maanga bhi to apani judai maangi,
Aur ham the ki inkaar na kar sake.

jina marna shayari

Marne wale toh ek din…
Bin bataye marr hi jate h
Lekin..
Wo log toh roz marte hain,
Jo kisi ko khud se jyada chahte h

chot dilko123

Kitne DUR Nikal Gaye
RISHTE Nibhate Nibhate...
KHUD Ko KHO Diya Humne
APNO Ko Pate Pate...
LOG Kehte Hain Hum MUSKRATE Bahut Hain...
Aur Hum THAK Gaye
DARD chhupate chhupate...!"

jindagi shayari broken heart

Hum zindagi se aas kare bhi to kya kare,
Jab tum nahi ho paas, kare bhi to kya kare.
Aansu piye, sharaab piye, zeher bhi to pi liya,
Bujhti nahi hai pyaas, kare bhi to kya kare…
`
Muskurate palko pe sanam chale aate hein,
aap kya jaano kahan se hamare ghum aate hein,
aaj bhi us mod par khade hein,
jaha kisi ne kaha tha ke theron hum abhi aate hein…